Monday, January 7, 2013

Amitabh Bachchan pays his tribute to Delhi rape victim with his poem

Maa bohot Dard sah kar..
bohot dard de kar..
tujhse kuch kah kar main jaa rahi hun........

Aaj meri vidai main jab Sakhiyaan milne aayengi...
Safaid Jode main lipti dekh sisak sisak mar jayengi...
Ladki hone ka khud pe fir woh Afsos jatayengi.....

Maa tu unse itna kah dena Darindo ki duniya mein Sambhal kar rahna..........
Maa Rakhi par jab Bhaiya ki Kalai suni rah jayegi..
yaad mujhe kar kar jab unki Aankh bhar ayegi....
Tilak mathe par karne ko Maa rooh meri bhi Machal jayegi...
Maa tu bhaiya ko rone na dena...
Main sath hun har Pal unse kah dena.......

Maa Papa bhi chhup chhup kar bohot royenge...
Main kuchh na kar paya ye kah ke khud ko kosenge....
Maa dard unhe ye hone na dena..
Ilzaam koi lene na dena...
Wo Abhimaan hai mera samman hai mera..
tu unse itna kah dena........

Maa tere liye ab kya kahu..
dard ko tere shabdon main kaise bandhu...
fir se jeene ka mauka kaise maangu......

Maa log tujhe satayenge....
mujhe azaadi dene ka tujhpe ilzaam lagayenge....
Ma­a sab sah lena par ye na kahna...
"Agle janam Mohe Bitiya na dena".


sent by : Mr Mohan Sethi

No comments:

Post a Comment